Preface
Kuch kahaniyan bas likhi nahi jaati…
Woh waqt ke saath banti hain, kismat ke haathon se likhi jaati hain,
aur dil ke us kone mein palti hain jahan yaadein bhi khamosi se chhup kar baithti hain.
Yeh kahani maine nahi likhi… isne khud ko mujhse likhwa liya.
Kabhi yeh purani diary ke murjhaye hue pannoon se awaaz deti thi,
kabhi do anjaane chehron ke beech ki doori mein saans leti thi,
aur kabhi un raaton mein jab neend se zyada yaadein bhaari thi,
tab yeh apna chehra dikhati thi.
Yeh sirf ek pyaar ki kahani nahi hai…
yeh ek safar hai, jahan har mod par dil ka rang badalta hai.
Kabhi wo pehli nazar ka chhalakta hua jadoo hota hai,
kabhi khamosh lamhon ka sukoon,
kabhi junoon ki aag,
aur kabhi wo pal… jab alvida kehna padta hai.
Is kahani mein Taqdeer bhi hai.
Woh taaqat jo milati bhi hai, aur alag bhi karti hai,
kabhi haste hue milati hai,
kabhi rulate hue alag karti hai,
aur kabhi bas door se dekh kar muskara deti hai… jaise keh rahi ho —
“Jo likh diya hai, woh badlega nahi.”
Main chahta hoon tum is safar ko bas padhon nahi, mehsoos karo.
Har panna palto, jaise tum apne dil ka ek purana kissa khol rahe ho.
Shayad tum isme apni kahani dekh lo…
ya shayad tum yeh samajh jao ki har pyaar ka ek apna rang hota hai,
aur kabhi kabhi… safar hi asal manzil ban jaata hai.
Nitya Publications, Bhopal MP, India is a fast growing publisher and serving at national and international level. We are publishing all type of books like educational books, seminar / conference proceeding, reports, thesis, story books, novels, poetry books and biographies etc with ISBN.